dil ko phir ummid garmane lagi
dil ko phir ummīd garmāne lagī
phir mujhe duniyā nazar aane lagī
dil pe Daalī hai kisī ne phir nigāh
saañs phir aane lagī jaane lagī
naqsh phir jamne lagā tadbīr kā
aql phir kuchh dil ko samjhāne lagī
naza.a meñ aane lagī phir kis kī yaad
ārzū-e-zīst taḌpāne lagī
ho chalā hai phir kisī kā intizār
khiñch ke jaan āñkhoñ meñ phir aane lagī
rañj bhī āḳhir ko rāhat ban gayā
shab hujūm-e-ġham se niiñd aane lagī
phir vahī betābi-e-dil hai 'jigar'
phir kisī kī yaad taḌpāne lagī
dil ko phir ummid garmane lagi
phir mujhe duniya nazar aane lagi
dil pe Dali hai kisi ne phir nigah
sans phir aane lagi jaane lagi
naqsh phir jamne laga tadbir ka
aql phir kuchh dil ko samjhane lagi
naza mein aane lagi phir kis ki yaad
aarzu-e-zist taDpane lagi
ho chala hai phir kisi ka intizar
khinch ke jaan aankhon mein phir aane lagi
ranj bhi aaKHir ko rahat ban gaya
shab hujum-e-gham se nind aane lagi
phir wahi betabi-e-dil hai 'jigar'
phir kisi ki yaad taDpane lagi
- Book : Partav-e-ilhaam (Pg. 42)
- Author : Jigar Barelvi
- Publication : Publisher Nizami Book Agency, Budaun (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.