dil ko phir uski mohabbat ka guman hai ki jo tha
dil ko phir uski mohabbat ka guman hai ki jo tha
Ghulam Husain Raaz
MORE BYGhulam Husain Raaz
dil ko phir us kī mohabbat kā gumāñ hai ki jo thā
phir ġhazal-ḳhvāñ mirā andāz-e-bayāñ hai ki jo thā
zehn meñ jal to uThe ilm-o-taraqqī ke charāġh
dil meñ iḳhlās magar haa.e kahāñ hai ki jo thā
chhuT gayā aql ke hāthoñ se yaqīñ kā dāman
phir vahī silsila-e-vahm-o-gumāñ hai ki jo thā
amn ke da.ave haiñ din-rāt magar kyā kahiye
ab bhī har samt vahī shor-e-fuġhāñ hai ki jo thā
ḳhanda-e-gul kī qasam girya-e-shabnam kī qasam
vahī andāz-e-jahān-e-digrāñ hai ki jo thā
DhūñDhne meñ tujhe taklīf na hogī ai dost
merā ab bhī vahī miTTī kā makāñ hai ki jo thā
apne qadmoñ pe bhī tum dekh lo kuchh hai ki nahīñ
mere māthe pe to ab tak vo nishāñ hai ki jo thā
shauq hai aish hai ai 'rāz' adākārī hai
ab kahāñ ishq vabāl-e-dil-o-jāñ hai ki jo thā
dil ko phir us ki mohabbat ka guman hai ki jo tha
phir ghazal-KHwan mera andaz-e-bayan hai ki jo tha
zehn mein jal to uThe ilm-o-taraqqi ke charagh
dil mein iKHlas magar hae kahan hai ki jo tha
chhuT gaya aql ke hathon se yaqin ka daman
phir wahi silsila-e-wahm-o-guman hai ki jo tha
amn ke dawe hain din-raat magar kya kahiye
ab bhi har samt wahi shor-e-fughan hai ki jo tha
KHanda-e-gul ki qasam girya-e-shabnam ki qasam
wahi andaz-e-jahan-e-digran hai ki jo tha
DhunDhne mein tujhe taklif na hogi ai dost
mera ab bhi wahi miTTi ka makan hai ki jo tha
apne qadmon pe bhi tum dekh lo kuchh hai ki nahin
mere mathe pe to ab tak wo nishan hai ki jo tha
shauq hai aish hai ai 'raaz' adakari hai
ab kahan ishq wabaal-e-dil-o-jaan hai ki jo tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.