dil ko piri mein mohabbat ka teri josh aaya
dil ko piri mein mohabbat ka teri josh aaya
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
dil ko piirī meñ mohabbat kā tirī josh aaya
be-ḳhudī shab ko rahī vaqt-e-sahar hosh aaya
tere jalve kā nazāra na huā bār-e-digar
be-ḳhudī ke haiñ ye ma.anī ki na phir hosh aaya
zahr-e-gesū ne mujhe maar hī Daalā thā magar
lab-e-jāñ-baḳhsh ke sadqe meñ mujhe hosh aaya
sāqiyā mai-kada-e-dahr meñ vo mai-kash huuñ
marte dam tak mujhe apnā bhī na kuchh hosh aaya
kis liye jām-o-surāhī meñ hai saaqī tāḳhīr
abr-e-pur-shor pa.e-ḳhātir-e-mai-nosh aaya
dil ko phir lāla-ruḳhoñ se huī ulfat paidā
ahd-e-pīrī meñ javānī kā mujhe josh aaya
is qadar shauq-e-shahādat hai mujhe ai qātil
tere kūche meñ jo aaya to kafan-posh aaya
jo dahr dahr se vo bār-e-gunah le ke gayā
go jab aaya thā adam se to subuk-dosh aaya
ḳhil.ateñ zer-e-zamīñ kaun pinhā detā hai
bāġh-e-ālam meñ jo gul aaya qabā-posh aaya
vā.izā kar sar-e-mimbar na mazammat mai kī
kuchh banā.e na banegī jo yahāñ josh aaya
hashr ke din jo gunahgāroñ kī kasrat dekhī
qulzum-e-rahmat-e-bārī meñ ajab josh aaya
jis ne mai-ḳhāna-e-duniyā meñ zarā bhī pī lī
aa ga.ī maut pa 'tālib' na use hosh aaya
dil ko piri mein mohabbat ka teri josh aaya
be-KHudi shab ko rahi waqt-e-sahar hosh aaya
tere jalwe ka nazara na hua bar-e-digar
be-KHudi ke hain ye mani ki na phir hosh aaya
zahr-e-gesu ne mujhe mar hi Dala tha magar
lab-e-jaan-baKHsh ke sadqe mein mujhe hosh aaya
saqiya mai-kada-e-dahr mein wo mai-kash hun
marte dam tak mujhe apna bhi na kuchh hosh aaya
kis liye jam-o-surahi mein hai saqi taKHir
abr-e-pur-shor pae-KHatir-e-mai-nosh aaya
dil ko phir lala-ruKHon se hui ulfat paida
ahd-e-piri mein jawani ka mujhe josh aaya
is qadar shauq-e-shahadat hai mujhe ai qatil
tere kuche mein jo aaya to kafan-posh aaya
jo dahr dahr se wo bar-e-gunah le ke gaya
go jab aaya tha adam se to subuk-dosh aaya
KHilaten zer-e-zamin kaun pinha deta hai
bagh-e-alam mein jo gul aaya qaba-posh aaya
waiza kar sar-e-mimbar na mazammat mai ki
kuchh banae na banegi jo yahan josh aaya
hashr ke din jo gunahgaron ki kasrat dekhi
qulzum-e-rahmat-e-bari mein ajab josh aaya
jis ne mai-KHana-e-duniya mein zara bhi pi li
aa gai maut pa 'talib' na use hosh aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.