dil ko qarar milta hai aksar chubhan ke baad
dil ko qarār miltā hai aksar chubhan ke ba.ad
nīndeñ suhānī aatī haiñ din kī thakan ke ba.ad
bekār sī javānī hai jis par sitam na ho
shīrīñ huā shajar pe samar bhī tapan ke ba.ad
āñgan thā jab talak ye na dil ko lubhā sakā
yādeñ vatan kī aa.ī haiñ tark-e-vatan ke ba.ad
dāman bhigo ke baiTheñ haiñ ḳhushiyoñ kī raah meñ
aksar bahār aatī hai rut meñ ghuTan ke ba.ad
guzroge jab bhī sahrā se pāoge tum chaman
jaise nigār-e-dasht hai aksar chaman ke ba.ad
dil ko qarar milta hai aksar chubhan ke baad
ninden suhani aati hain din ki thakan ke baad
bekar si jawani hai jis par sitam na ho
shirin hua shajar pe samar bhi tapan ke baad
aangan tha jab talak ye na dil ko lubha saka
yaaden watan ki aai hain tark-e-watan ke baad
daman bhigo ke baiThen hain KHushiyon ki rah mein
aksar bahaar aati hai rut mein ghuTan ke baad
guzroge jab bhi sahra se paoge tum chaman
jaise nigar-e-dasht hai aksar chaman ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.