dil ko sabr-o-qarar bhi na hua
dil ko sabr-o-qarār bhī na huā
jabr par iḳhtiyār bhī na huā
laala har chand baaġh meñ phūlā
gul-ruḳhoñ meñ shumār bhī na huā
mar miTe fikr meñ uruuj ke ham
ḳhaak ūñchā ġhubār bhī na huā
rah gayā tīr-e-yār pahlū meñ
kyā sitam hai ki paar bhī na huā
ḳhuun se mere dāman-e-qātil
taḳhta-e-lāla-zār bhī na huā
mai se mujh ko ḳhumār bhī na huā
nashsha kaisā utaar bhī na huā
asar-e-chashm-e-zār bhī na huā
saaf un kā ġhubār bhī na huā
ek bose ko to ginā sau baar
gāliyoñ kā shumār bhī na huā
un kī rusvā.iyoñ kā paas rahā
maiñ kabhī ashk-bār bhī na huā
sarv ne sar-kashī se kyā paayā
shajar-e-meva-dār bhī na huā
dil ko sabr-o-qarar bhi na hua
jabr par iKHtiyar bhi na hua
lala har chand bagh mein phula
gul-ruKHon mein shumar bhi na hua
mar miTe fikr mein uruj ke hum
KHak uncha ghubar bhi na hua
rah gaya tir-e-yar pahlu mein
kya sitam hai ki par bhi na hua
KHun se mere daman-e-qatil
taKHta-e-lala-zar bhi na hua
mai se mujh ko KHumar bhi na hua
nashsha kaisa utar bhi na hua
asar-e-chashm-e-zar bhi na hua
saf un ka ghubar bhi na hua
ek bose ko to gina sau bar
galiyon ka shumar bhi na hua
un ki ruswaiyon ka pas raha
main kabhi ashk-bar bhi na hua
sarw ne sar-kashi se kya paya
shajar-e-mewa-dar bhi na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.