dil ko shabab ek but-e-kafir ka bha gaya
dil ko shabāb ik but-e-kāfir kā bhā gayā
jis din ko Dar rahe the ham āḳhir vo aa gayā
ab dil se shauq-e-nāla-e-arsh-āshnā gayā
zauq-e-kashīdan-e-sitam-e-nāravā gayā
batlā.eñ kyā ki aaya vo kyā aur kyā gayā
aaya jo qahr ban ke to ban karbalā gayā
dam zabt-e-dard-e-ishq se merā na bach sakā
jo ġham maiñ khā rahā thā vahī mujh ko khā gayā
lutf-e-hayāt hai tapish-o-iztirāb meñ
pahlū meñ dard uTh ke mujhe ye batā gayā
har raḳhna-e-qafas hai dar-e-faiz-e-sarmadī
āzādiyāñ agar ga.iiñ apnī to kyā gayā
sarmāya-e-durustī-e-dil hai shikastagī
ye dil-shikan suḳhan vo sitamgar sunā gayā
afsurdagī sī chhā ga.ī huzzār-e-bazm par
us bazm meñ jo 'bedil'-e-dard-āshnā gayā
dil ko shabab ek but-e-kafir ka bha gaya
jis din ko Dar rahe the hum aaKHir wo aa gaya
ab dil se shauq-e-nala-e-arsh-ashna gaya
zauq-e-kashidan-e-sitam-e-narawa gaya
batlaen kya ki aaya wo kya aur kya gaya
aaya jo qahr ban ke to ban karbala gaya
dam zabt-e-dard-e-ishq se mera na bach saka
jo gham main kha raha tha wahi mujh ko kha gaya
lutf-e-hayat hai tapish-o-iztirab mein
pahlu mein dard uTh ke mujhe ye bata gaya
har raKHna-e-qafas hai dar-e-faiz-e-sarmadi
aazadiyan agar gain apni to kya gaya
sarmaya-e-durusti-e-dil hai shikastagi
ye dil-shikan suKHan wo sitamgar suna gaya
afsurdagi si chha gai huzzar-e-bazm par
us bazm mein jo 'bedil'-e-dard-ashna gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.