dil ko sukun hai chain hai rahat usi se hai
dil ko sukun hai chain hai rahat usi se hai
Qamar Rais Bahraichi
MORE BYQamar Rais Bahraichi
dil ko sukūñ hai chain hai rāhat usī se hai
shikva bhī hai usī se mohabbat usī se hai
varna mire vajūd kā koī na thā vajūd
paiham badan meñ mere harārat usī se hai
dil us kā aa.ine kī tarah ḳhush-mizāj hai
baaqī jahān-e-nau meñ uḳhuvvat usī se hai
us ne junūñ ko mere javāñ-sāl kar diyā
vābasta merī aaj bhī shohrat usī se hai
maanā ki sang mujh ko samajhtā hai vo magar
merī tamām shahr meñ izzat usī se hai
us kī navāzishoñ kā rahā silsila darāz
ye kā.enāt-e-dil bhī to jannat usī se hai
us ne mire qalam ko haiñ baḳhshīñ ravāniyāñ
mazmūn meñ bhī mere salāsat usī se hai
dil ko sukun hai chain hai rahat usi se hai
shikwa bhi hai usi se mohabbat usi se hai
warna mere wajud ka koi na tha wajud
paiham badan mein mere hararat usi se hai
dil us ka aaine ki tarah KHush-mizaj hai
baqi jahan-e-nau mein uKHuwwat usi se hai
us ne junun ko mere jawan-sal kar diya
wabasta meri aaj bhi shohrat usi se hai
mana ki sang mujh ko samajhta hai wo magar
meri tamam shahr mein izzat usi se hai
us ki nawazishon ka raha silsila daraaz
ye kaenat-e-dil bhi to jannat usi se hai
us ne mere qalam ko hain baKHshin rawaniyan
mazmun mein bhi mere salasat usi se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.