dil ko taskin ho gai hai samne aane ke baad
dil ko taskin ho gai hai samne aane ke baad
Raja Naushad Ali Khan
MORE BYRaja Naushad Ali Khan
dil ko taskīñ ho ga.ī hai sāmne aane ke baad
jaan jā.egī hamārī aap ke jaane ke baad
mujh se dīvāne ko samjhānā usī kā kaam hai
ḳhud samajh jā.egā nāseh mujh ko samjhāne ke baad
tujh se pahle miT chuke haiñ kaise kaise nāmvar
naam terā bhī na legā koī mar jaane ke baad
mehmāñ hote the jab vo dil pe bas rahtā na thā
ek din aane ke pahle ek din jaane ke baad
uTh ga.e bālīñ se tum bīmār kā ye haal thā
aañkh meñ aañsū bhare the hosh meñ aane ke baad
tujh ko ai shaiḳh-e-haram ka.aba mubārak ho tirā
dūsrā ghar ham nahīñ dekheñge mai-ḳhāne ke baad
sharm se gardan jhukā kar chuTkiyāñ lene lagī
shoḳhiyāñ karne lage phir aap sharmāne ke baad
ham kahā karte haiñ un ke kūche meñ har ek se
dafn kar denā yahīñ par ham ko mar jaane ke baad
zulm se apne pashemān āḳhirash honā paḌā
jhuk ga.iiñ un kī nigāheñ laash par aane ke baad
ho ga.e sairāb pī kar ḳhūn-e-dil ai ishq ham
ḳhuub āsūda hue laḳht-e-jigar khāne ke baad
mujh ko marne kā nahīñ ġham ranj hai is baat kā
zulm vo kis par kareñge mere mar jaane ke baad
ishq meñ afsurda ho kar dil kā hotā hai vo rang
phuul kā jo haal ho jaatā hai murjhāne ke baad
sar jhukā kar laash par aa.e haiñ kis andāz se
vo davā karne jo aa.e bhī to mar jaane ke baad
rāste se vo palaT kar aa rahe haiñ kis liye
kyā ḳhayāl aaya unheñ 'naushād' ghar jaane ke baad
dil ko taskin ho gai hai samne aane ke baad
jaan jaegi hamari aap ke jaane ke baad
mujh se diwane ko samjhana usi ka kaam hai
KHud samajh jaega naseh mujh ko samjhane ke baad
tujh se pahle miT chuke hain kaise kaise namwar
nam tera bhi na lega koi mar jaane ke baad
mehman hote the jab wo dil pe bas rahta na tha
ek din aane ke pahle ek din jaane ke baad
uTh gae baalin se tum bimar ka ye haal tha
aankh mein aansu bhare the hosh mein aane ke baad
tujh ko ai shaiKH-e-haram kaba mubarak ho tera
dusra ghar hum nahin dekhenge mai-KHane ke baad
sharm se gardan jhuka kar chuTkiyan lene lagi
shoKHiyan karne lage phir aap sharmane ke baad
hum kaha karte hain un ke kuche mein har ek se
dafn kar dena yahin par hum ko mar jaane ke baad
zulm se apne pasheman aaKHirash hona paDa
jhuk gain un ki nigahen lash par aane ke baad
ho gae sairab pi kar KHun-e-dil ai ishq hum
KHub aasuda hue laKHt-e-jigar khane ke baad
mujh ko marne ka nahin gham ranj hai is baat ka
zulm wo kis par karenge mere mar jaane ke baad
ishq mein afsurda ho kar dil ka hota hai wo rang
phul ka jo haal ho jata hai murjhane ke baad
sar jhuka kar lash par aae hain kis andaz se
wo dawa karne jo aae bhi to mar jaane ke baad
raste se wo palaT kar aa rahe hain kis liye
kya KHayal aaya unhen 'naushad' ghar jaane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.