dil ko tera KHayal teri justuju rahe
dil ko tera KHayal teri justuju rahe
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
dil ko tirā ḳhayāl tirī justujū rahe
maqsad mirī hayāt kā bas tū hī tū rahe
aa.e kabhī na dil meñ kisī ġhair kā ḳhayāl
hoñToñ pe sub.h-o-shām tirī guftugū rahe
merī nigāh-e-shauq tujhe DhūñDhtī rahī
vaise to ās-pās ka.ī māh-rū rahe
ik din zarūr ā.eñge vo mere ḳhvāb meñ
is intizār-e-yār meñ ham bā-vazū rahe
duniyā kī ranjishoñ kī shikāyat kareñ to kyā
ḳhud apne hī nasīb se ham dū-badū rahe
de kar ga.ī hai bād-e-sabā ye duā 'majīd'
sher-o-suḳhan kī bazm kī tū aabrū rahe
dil ko tera KHayal teri justuju rahe
maqsad meri hayat ka bas tu hi tu rahe
aae kabhi na dil mein kisi ghair ka KHayal
honTon pe subh-o-sham teri guftugu rahe
meri nigah-e-shauq tujhe DhunDhti rahi
waise to aas-pas kai mah-ru rahe
ek din zarur aaenge wo mere KHwab mein
is intizar-e-yar mein hum ba-wazu rahe
duniya ki ranjishon ki shikayat karen to kya
KHud apne hi nasib se hum du-badu rahe
de kar gai hai baad-e-saba ye dua 'majid'
sher-o-suKHan ki bazm ki tu aabru rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.