dil ko tere KHayal mein hal kar diya gaya
dil ko tire ḳhayāl meñ hal kar diyā gayā
be-e'tibār chiiz ko shal kar diyā gayā
ab tīrgī ko chāhiye gustāḳh dūsrā
apnī ridā sameT ke jal kar diyā gayā
be-laus pesh kī ga.iiñ munkir ko sohbateñ
ham ko 'ishā.iya bhī sañbhal kar diyā gayā
lāhūt tak rasā.ī kī khāte the jo qasam
shahr-e-tarab meñ un ko muzal kar diyā gayā
har ġham dil-e-nazār kā ḳhuuñ meñ lapeT kar
bazm-e-suḳhan-varāñ meñ ġhazal kar diyā gayā
allāh kyā balā hai ye daur-e-jadīdiyat
har āgahī ko aan meñ chhal kar diyā gayā
kaisā javāb chāhiye min-jānib-e-dilāñ
lubb-e-lubāb jab ki kuchal kar diyā gayā
dil ko tere KHayal mein hal kar diya gaya
be-e'tibar chiz ko shal kar diya gaya
ab tirgi ko chahiye gustaKH dusra
apni rida sameT ke jal kar diya gaya
be-laus pesh ki gain munkir ko sohbaten
hum ko 'ishaiya bhi sanbhal kar diya gaya
lahut tak rasai ki khate the jo qasam
shahr-e-tarab mein un ko muzal kar diya gaya
har gham dil-e-nazar ka KHun mein lapeT kar
bazm-e-suKHan-waran mein ghazal kar diya gaya
allah kya bala hai ye daur-e-jadidiyat
har aagahi ko aan mein chhal kar diya gaya
kaisa jawab chahiye min-jaanib-e-dilan
lubb-e-lubab jab ki kuchal kar diya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.