dil ko tere KHayal se bahla raha hun main
dil ko tire ḳhayāl se bahlā rahā huuñ maiñ
yuuñ shām-e-ġham ko sub.h kiye jā rahā huuñ maiñ
vāqif huuñ merī raah kī manzil nahīñ koī
dīvāna-vār phir bhī baḌhe jā rahā huuñ maiñ
maiñ kah rahā Thahariye ki aisā bhī kyā sitam
vo kah rahe haiñ chhoḌiye ab jā rahā huuñ maiñ
sach hai kisī sanam kī ibādat gunāh hai
phir bhī hasīñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
jo kuchh diyā hai tere muqaddas ḳhayāl ne
is lazzat-e-davām ko lauTā rahā huuñ maiñ
kal tak muḳhālifīn ke charche the har taraf
har bazm ahl-e-zauq pe ab chhā rahā huuñ maiñ
dil ko tere KHayal se bahla raha hun main
yun sham-e-gham ko subh kiye ja raha hun main
waqif hun meri rah ki manzil nahin koi
diwana-war phir bhi baDhe ja raha hun main
main kah raha Thahariye ki aisa bhi kya sitam
wo kah rahe hain chhoDiye ab ja raha hun main
sach hai kisi sanam ki ibaadat gunah hai
phir bhi hasin gunah kiye ja raha hun main
jo kuchh diya hai tere muqaddas KHayal ne
is lazzat-e-dawam ko lauTa raha hun main
kal tak muKHalifin ke charche the har taraf
har bazm ahl-e-zauq pe ab chha raha hun main
- Book : Saaya-e-gul (Pg. 147)
- Author : Aslam Kiratpuri
- Publication : Critive Group, Mumbai (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.