dil ko teri nazar se bachaya na ja saka
dil ko tirī nazar se bachāyā na jā sakā
taqdīr ke likhe ko miTāyā na jā sakā
tum ne hameñ bhulā diyā dil se magar tumheñ
koshish ke bāvajūd bhulāyā na jā sakā
shikva nahīñ tumhārā ki pūchhā na tum ne haal
merī ḳhatā hai mujh se sunāyā na jā sakā
kaifiyyat-e-sharāb-e-mohabbat na pūchhiye
mad.hosh ho ke hosh meñ aaya na jā sakā
tāsīr-e-ishq kahiye ki bechārgī-e-husn
un se mirā ḳhayāl bhulāyā na jā sakā
kuchh dil kī dhaḌkaneñ bhī haiñ āh-o-bukā ke saath
naġhma baġhair saaz ke gaayā na jā sakā
jo bāryāb-e-jalva-gah-e-nāz ho gayā
vo sar kisī ke dar pe jhukāyā na jā sakā
sad-ehtimām-exarz-e-tamannā ke bāvajūd
ik harf bhī zabān pe laayā na jā sakā
'tal.at' junūn-e-ishq meñ ham ne uThā liyā
vo baar jo kisī se uThāyā na jā sakā
dil ko teri nazar se bachaya na ja saka
taqdir ke likhe ko miTaya na ja saka
tum ne hamein bhula diya dil se magar tumhein
koshish ke bawajud bhulaya na ja saka
shikwa nahin tumhaara ki puchha na tum ne haal
meri KHata hai mujh se sunaya na ja saka
kaifiyyat-e-sharab-e-mohabbat na puchhiye
madhosh ho ke hosh mein aaya na ja saka
tasir-e-ishq kahiye ki bechaargi-e-husn
un se mera KHayal bhulaya na ja saka
kuchh dil ki dhaDkanen bhi hain aah-o-buka ke sath
naghma baghair saz ke gaya na ja saka
jo baryab-e-jalwa-gah-e-naz ho gaya
wo sar kisi ke dar pe jhukaya na ja saka
sad-ehtimam-exarz-e-tamanna ke bawajud
ek harf bhi zaban pe laya na ja saka
'talat' junun-e-ishq mein hum ne uTha liya
wo bar jo kisi se uThaya na ja saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.