dil ko ujDe hue bite hain zamane kitne
dil ko ujḌe hue biite haiñ zamāne kitne
kilk-e-taqdīr ne luuTe haiñ ḳhazāne kitne
bhuul jaatā huuñ magar sach to yahī hai barsoñ
tum se vābasta rahe ḳhvāb suhāne kitne
dil dukhātī hī rahī gardish-e-ayyām magar
ham bhī masrūf rahe ḳhud bhī na jaane kitne
ek ham aur ye dushnām-tarāzī tauba
apne atrāf rahe ā.ina-ḳhāne kitne
ik nazar dekh liyā thā kisī gul kī jānib
nukta-chīnoñ ne tarāshe haiñ fasāne kitne
gar nahīñ vasl to phir bāda-o-sāġhar hī sahī
dil ne DhūñDe haiñ dhaḌakne ke bahāne kitne
umr-e-rafta ko jo āvāz kabhī dī ham ne
khul ga.e zaḳhm ka.ii, baab purāne kitne
ġhamza-o-ramz meñ 'salmān' tafāvut rakhte
aur ā.eñge tumheñ naaz dikhāne kitne
dil ko ujDe hue bite hain zamane kitne
kilk-e-taqdir ne luTe hain KHazane kitne
bhul jata hun magar sach to yahi hai barson
tum se wabasta rahe KHwab suhane kitne
dil dukhati hi rahi gardish-e-ayyam magar
hum bhi masruf rahe KHud bhi na jaane kitne
ek hum aur ye dushnam-taraazi tauba
apne atraf rahe aaina-KHane kitne
ek nazar dekh liya tha kisi gul ki jaanib
nukta-chinon ne tarashe hain fasane kitne
gar nahin wasl to phir baada-o-saghar hi sahi
dil ne DhunDe hain dhaDakne ke bahane kitne
umr-e-rafta ko jo aawaz kabhi di hum ne
khul gae zaKHm kai, bab purane kitne
ghamza-o-ramz mein 'salman' tafawut rakhte
aur aaenge tumhein naz dikhane kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.