dil ko zar se na toliye sahab
dil ko zar se na toliye sāhab
ham faqīroñ se boliye sāhab
apnā jaisā sabhī ko pā.eñge
dil kā darvāza kholiye sāhab
ab to badleñ ki din badalte haiñ
ahd-e-māzī ko ro liye sāhab
un ke dast-e-hinā.ī kī ḳhātir
haath ḳhuuñ meñ Dubo liye sāhab
jo bhī hañs ke milā mohabbat se
dil se us ke hī ho liye sāhab
in gulāboñ meñ rang bharne ko
ḳhud hī kāñTe chubho liye sāhab
itnā ro.e haiñ ahd-e-māzī ko
dil ke sab daaġh dho liye sāhab
ab to uThiye ki din nikaltā hai
raat bhar ḳhuub so liye sāhab
aap apne mafād kī ḳhātir
biij nafrat ke bo liye sāhab
saarī ḳhushiyāñ haiñ dil meñ 'sailānī'
apne dil ko TaToliye sāhab
dil ko zar se na toliye sahab
hum faqiron se boliye sahab
apna jaisa sabhi ko paenge
dil ka darwaza kholiye sahab
ab to badlen ki din badalte hain
ahd-e-mazi ko ro liye sahab
un ke dast-e-hinai ki KHatir
hath KHun mein Dubo liye sahab
jo bhi hans ke mila mohabbat se
dil se us ke hi ho liye sahab
in gulabon mein rang bharne ko
KHud hi kanTe chubho liye sahab
itna roe hain ahd-e-mazi ko
dil ke sab dagh dho liye sahab
ab to uThiye ki din nikalta hai
raat bhar KHub so liye sahab
aap apne mafad ki KHatir
bij nafrat ke bo liye sahab
sari KHushiyan hain dil mein 'sailani'
apne dil ko TaToliye sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.