dil lagaenge hum us shoKH pari-zad se ab
dil lagā.eñge ham us shoḳh parī-zād se ab
badle sab leveñge charḳh-e-sitam-ījād se ab
tañg ushshāq haiñ zālim tirī bedād se ab
un ke kāñpe hai falak nāla-o-fariyād se ab
barq-o-sīmāb ko da.ave the taḌapne ke baḌe
hoñ muqābil kaho aa kar dil-e-betāb se ab
toḌ de jab kamar-e-shāḳh samar hī us kā
kyā tavaqqo.a rakhe apnī koī aulād se ab
phañs chukī daam meñ sayyād ke jab bulbul-e-zār
ronā kyā fā.eda be-rahmī-e-sayyād se ab
dil liyā jaan bhī maujūd hai lo bismillāh
mujh ko chāra nahīñ hai aap ke irshād se ab
'aish' āsūdgī dārain kī ho tujh ko nasīb
hai duā ye hī mirī ḳhāliq-e-javvād se ab
dil lagaenge hum us shoKH pari-zad se ab
badle sab lewenge charKH-e-sitam-ijad se ab
tang ushshaq hain zalim teri bedad se ab
un ke kanpe hai falak nala-o-fariyaad se ab
barq-o-simab ko dawe the taDapne ke baDe
hon muqabil kaho aa kar dil-e-betab se ab
toD de jab kamar-e-shaKH samar hi us ka
kya tawaqqoa rakhe apni koi aulad se ab
phans chuki dam mein sayyaad ke jab bulbul-e-zar
rona kya faeda be-rahmi-e-sayyaad se ab
dil liya jaan bhi maujud hai lo bismillah
mujh ko chaara nahin hai aap ke irshad se ab
'aish' aasudgi darain ki ho tujh ko nasib
hai dua ye hi meri KHaliq-e-jawwad se ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.