dil lagane ki baat karte ho
dil lagāne kī baat karte ho
kis zamāne kī baat karte ho
sāqiyā kar chukā huuñ tark-e-subū
kyoñ pilāne kī baat karte ho
ḳhairiyat pūchhte ho kyoñ rasman
dil dukhāne kī baat karte ho
va.ada kar ke kabhī nahīñ aate
bhuul jaane kī baat karte ho
is tarah muskurā ke mat dekho
dil lubhāne kī baat karte ho
jis meñ likkhī hai dāstāñ merī
us fasāne kī baat karte ho
aao baiTho abhī to aa.e ho
kyoñ ye jaane kī baat karte ho
phir kahāñ jāoge batāo 'amīr'
ghar jalāne kī baat karte ho
dil lagane ki baat karte ho
kis zamane ki baat karte ho
saqiya kar chuka hun tark-e-subu
kyon pilane ki baat karte ho
KHairiyat puchhte ho kyon rasman
dil dukhane ki baat karte ho
wada kar ke kabhi nahin aate
bhul jaane ki baat karte ho
is tarah muskura ke mat dekho
dil lubhane ki baat karte ho
jis mein likkhi hai dastan meri
us fasane ki baat karte ho
aao baiTho abhi to aae ho
kyon ye jaane ki baat karte ho
phir kahan jaoge batao 'amir'
ghar jalane ki baat karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.