dil lagane ki sar-e-am saza deta hai
dil lagāne kī sar-e-'ām sazā detā hai
'ishq insān ko majnūñ sā banā detā hai
gar koī chiiz muqaddar meñ nahīñ hotī to
us kī raġhbat ko ḳhudā dil se haTā detā hai
merī tahqīr kiye jaate haiñ mere apne
ik yahī ġham hai mirā dil jo dukhā detā hai
tū mujhe maut ke darvāze pe le aayā jab
kis liye pyaar se jiine kī du'ā detā hai
bas kiye jaatā hai takzīb magar is ke baa'd
narm lahje se vo armān jagā detā hai
yuuñ to kahtā hai mujhe dost magar us ke baa'd
mujh ko ahbāb kī nazroñ meñ girā detā hai
us se rūdād-e-alam kahnā 'abas hai 'shamsa'
qissa-e-dard hañsī meñ vo uḌā detā hai
dil lagane ki sar-e-'am saza deta hai
'ishq insan ko majnun sa bana deta hai
gar koi chiz muqaddar mein nahin hoti to
us ki raghbat ko KHuda dil se haTa deta hai
meri tahqir kiye jate hain mere apne
ek yahi gham hai mera dil jo dukha deta hai
tu mujhe maut ke darwaze pe le aaya jab
kis liye pyar se jine ki du'a deta hai
bas kiye jata hai takzib magar is ke ba'd
narm lahje se wo arman jaga deta hai
yun to kahta hai mujhe dost magar us ke ba'd
mujh ko ahbab ki nazron mein gira deta hai
us se rudad-e-alam kahna 'abas hai 'shamsa'
qissa-e-dard hansi mein wo uDa deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.