dil lagaya aap se bekar hi
dil lagāyā aap se bekār hī
ham hue āḳhir zalīl-o-ḳhvār hī
vo rahā mahfil meñ naġhma-bār hī
chal basā koī pas-e-dīvār hī
maiñ samajhtā huuñ jise shabnam sifat
hai haqīqat meñ vo sho.ala-bār hī
mushkiloñ meñ ġhair kuchh kaam aa.e haiñ
aur tamāshā-bīñ rahe ġham-ḳhvār hī
apnī nākāmī kā hai afsos kab
bā.is-e-shohrat huī jab haar hī
shaiḳh sāhab bhī nahīñ jo kar sake
kar gayā vo ek bāda-ḳhvār hī
hai tumhāre vāste behtar 'nadīm'
kū-e-jānāñ se farāz-e-dār hī
dil lagaya aap se bekar hi
hum hue aaKHir zalil-o-KHwar hi
wo raha mahfil mein naghma-bar hi
chal basa koi pas-e-diwar hi
main samajhta hun jise shabnam sifat
hai haqiqat mein wo shoala-bar hi
mushkilon mein ghair kuchh kaam aae hain
aur tamasha-bin rahe gham-KHwar hi
apni nakaami ka hai afsos kab
bais-e-shohrat hui jab haar hi
shaiKH sahab bhi nahin jo kar sake
kar gaya wo ek baada-KHwar hi
hai tumhaare waste behtar 'nadim'
ku-e-jaanan se faraaz-e-dar hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.