dil mange hai mausam phir ummidon ka
dil māñge hai mausam phir ummīdoñ kā
chaar taraf sañgīt rachā ho jharnoñ kā
ham ne bhī taklīf uThā.ī hai āḳhir
aap burā kyuuñ māneñ sachchī bātoñ kā
jaane ab kyuuñ dil kā panchhī hai gum-sum
jab peḌoñ par shor machā hai chiḌiyoñ kā
raat ga.e tak raah vo merī dekhegā
mujh par hai ik ḳhauf sā taarī rāhoñ kā
mere māthe par kuchh lamhe utre the
ab bhī yaad hai zā.iqa us ke hoñToñ kā
puure chāñd kī raat magar ḳhāmoshī hai
mausam to hai bhīgī bhīgī bātoñ kā
dil mange hai mausam phir ummidon ka
chaar taraf sangit racha ho jharnon ka
hum ne bhi taklif uThai hai aaKHir
aap bura kyun manen sachchi baaton ka
jaane ab kyun dil ka panchhi hai gum-sum
jab peDon par shor macha hai chiDiyon ka
raat gae tak rah wo meri dekhega
mujh par hai ek KHauf sa tari rahon ka
mere mathe par kuchh lamhe utre the
ab bhi yaad hai zaiqa us ke honTon ka
pure chand ki raat magar KHamoshi hai
mausam to hai bhigi bhigi baaton ka
- Book : siip (Magzin) (Pg. 250)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly))
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.