dil mahw-e-intizar kabhi hai kabhi nahin
dil mahv-e-intizār kabhī hai kabhī nahīñ
sochoñ kā ik hisār kabhī hai kabhī nahīñ
ḳhushiyoñ kī justujū meñ huā aisā bārhā
sar par ġhamoñ kā baar kabhī hai kabhī nahīñ
nashsha tire ḳhulūs kā ik bahr-e-be-karāñ
halkā sā vo ḳhumār kabhī hai kabhī nahīñ
jis pe guloñ ke husn kā dār-o-madār hai
gulshan meñ vo bahār kabhī hai kabhī nahīñ
ġhārat hue haiñ jis ke sabab ahl-e-gulsitāñ
jalvoñ pe vo nikhār kabhī hai kabhī nahīñ
rāh-e-vafā meñ hāl-e-dil-e-zār kī na pūchh
ḳhud par bhī iḳhtiyār kabhī hai kabhī nahīñ
ik kashmakash meñ āj-kal uljhī hai zindagī
vo rang-e-e'tibār kabhī hai kabhī nahīñ
aate haiñ zindagī meñ ka.ī aise daur bhī
maslak meñ inkisār kabhī hai kabhī nahīñ
fihrist-e-jāñ-nisārāñ meñ ḳhush-baḳht aur haiñ
'sā.ir' kā to shumār kabhī hai kabhī nahīñ
dil mahw-e-intizar kabhi hai kabhi nahin
sochon ka ek hisar kabhi hai kabhi nahin
KHushiyon ki justuju mein hua aisa barha
sar par ghamon ka bar kabhi hai kabhi nahin
nashsha tere KHulus ka ek bahr-e-be-karan
halka sa wo KHumar kabhi hai kabhi nahin
jis pe gulon ke husn ka dar-o-madar hai
gulshan mein wo bahaar kabhi hai kabhi nahin
ghaarat hue hain jis ke sabab ahl-e-gulsitan
jalwon pe wo nikhaar kabhi hai kabhi nahin
rah-e-wafa mein haal-e-dil-e-zar ki na puchh
KHud par bhi iKHtiyar kabhi hai kabhi nahin
ek kashmakash mein aaj-kal uljhi hai zindagi
wo rang-e-e'tibar kabhi hai kabhi nahin
aate hain zindagi mein kai aise daur bhi
maslak mein inkisar kabhi hai kabhi nahin
fihrist-e-jaan-nisaran mein KHush-baKHt aur hain
'sair' ka to shumar kabhi hai kabhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.