dil mast hai lutf-e-nigah-e-naz to dekho
dil mast hai lutf-e-nigah-e-nāz to dekho
hai kitnā hasīñ ishq kā āġhāz to dekho
kitnī kashish-añgez hai āvāz to dekho
kitnā hai hasīñ husn kā e.ajāz to dekho
bijlī hai ki siine meñ mire sho.ala-e-dil hai
us kī nigah-e-nāz kā e.ajāz to dekho
masrūr hai sarmāya-e-hastī ko miTā kar
ye hausla-e-āshiq-e-jāñbāz to dekho
āshiq ke liye jān-e-tamannā hai har ik lafz
us ke lab-e-rangīñ kā ye e.ajāz to dekho
dil le liyā us kī nigah-e-nāz ne 'aslam'
ik sehr-sarāpā hai vo andāz to dekho
dil mast hai lutf-e-nigah-e-naz to dekho
hai kitna hasin ishq ka aaghaz to dekho
kitni kashish-angez hai aawaz to dekho
kitna hai hasin husn ka eajaz to dekho
bijli hai ki sine mein mere shoala-e-dil hai
us ki nigah-e-naz ka eajaz to dekho
masrur hai sarmaya-e-hasti ko miTa kar
ye hausla-e-ashiq-e-jaanbaz to dekho
aashiq ke liye jaan-e-tamanna hai har ek lafz
us ke lab-e-rangin ka ye eajaz to dekho
dil le liya us ki nigah-e-naz ne 'aslam'
ek sehr-sarapa hai wo andaz to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.