dil mein aahaT si ho rahi hai abhi
dil meñ aahaT sī ho rahī hai abhī
koī chaukhaT pukārtī hai abhī
mujh se koī savāl mat pūchho
kaifiyat dil kī dūsrī hai abhī
raat hotī hai aao lauT chaleñ
ye ufuq thoḌī surma.ī hai abhī
chāñdnī shab meñ kyā hai kaam tirā
raat jugnū se pūchhtī hai abhī
tum bhī kyā maut is ko samjhe ho
ruuh kapḌe badal rahī hai abhī
ik sahāre kī bhī umiid na rakh
bhuuk rishte nigal rahī hai abhī
phir ye mauqa' na haath aa.egā
zindagī hai to bandagī hai abhī
tere kāñdhe pe jo mirā sar hai
mujh ko kis baat kī kamī hai abhī
raat kohre ne aise zaḳhm diye
dhuup āñgan meñ ro rahī hai abhī
dekheñ kirneñ kahāñ utartī haiñ
duur ik tez raushnī hai abhī
is bayābān-e-shahr-e-zīst meñ hī
ek aur shab guzārnī hai abhī
dil mein aahaT si ho rahi hai abhi
koi chaukhaT pukarti hai abhi
mujh se koi sawal mat puchho
kaifiyat dil ki dusri hai abhi
raat hoti hai aao lauT chalen
ye ufuq thoDi surmai hai abhi
chandni shab mein kya hai kaam tera
raat jugnu se puchhti hai abhi
tum bhi kya maut is ko samjhe ho
ruh kapDe badal rahi hai abhi
ek sahaare ki bhi umid na rakh
bhuk rishte nigal rahi hai abhi
phir ye mauqa' na hath aaega
zindagi hai to bandagi hai abhi
tere kandhe pe jo mera sar hai
mujh ko kis baat ki kami hai abhi
raat kohre ne aise zaKHm diye
dhup aangan mein ro rahi hai abhi
dekhen kirnen kahan utarti hain
dur ek tez raushni hai abhi
is bayaban-e-shahr-e-zist mein hi
ek aur shab guzarni hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.