dil mein bas jaan sa main rahta hun
dil meñ bas jaan sā maiñ rahtā huuñ
ḳhud meñ mehmān sā maiñ rahtā huuñ
kitne ābād dil kiye maiñ ne
ḳhud meñ vīrān sā maiñ rahtā huuñ
dil dukhāte ho tum mirā jab bhī
haañ pareshān sā maiñ rahtā huuñ
ek ujḌe makān meñ jaise
bikhre sāmān sā maiñ rahtā huuñ
jang laḌtā huuñ rāt-din ḳhud se
dekh sultān sā maiñ rahtā huuñ
tum nahīñ samjhe mujh ko hairat hai
kitnā āsān sā maiñ rahtā huuñ
tum ga.e jab se chhoḌ kar mujh ko
tab se anjān sā maiñ rahtā huuñ
dil mein bas jaan sa main rahta hun
KHud mein mehman sa main rahta hun
kitne aabaad dil kiye main ne
KHud mein viran sa main rahta hun
dil dukhate ho tum mera jab bhi
han pareshan sa main rahta hun
ek ujDe makan mein jaise
bikhre saman sa main rahta hun
jang laDta hun raat-din KHud se
dekh sultan sa main rahta hun
tum nahin samjhe mujh ko hairat hai
kitna aasan sa main rahta hun
tum gae jab se chhoD kar mujh ko
tab se anjaan sa main rahta hun
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 185)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.