dil mein bhar kar soz ye ishq-o-wahshat ki bimari ka
dil mein bhar kar soz ye ishq-o-wahshat ki bimari ka
Vishwadeep Zeest
MORE BYVishwadeep Zeest
dil meñ bhar kar soz ye ishq-o-vahshat kī bīmārī kā
jism diyā hai tū ne mujh ko ek nirā sansārī kā
yā-rab terī izzat rakhne ko ham ab tak zinda haiñ
varna ham ko shauq nahīñ hai korī duniyā-dārī kā
ye bhī to ho saktā hai ik lambī niiñd meñ hoñ ham tum
maut jise kahte haiñ shāyad aalam ho bedārī kā
saare apne apne man kī shakl batā kar laḌte haiñ
tū hī batā ab kyā matlab hai aisī parda-dārī kā
jaise tū ne log banā.e logoñ ko insān banā
tab jā kar ham lohā māneñge terī fankārī kā
dil mein bhar kar soz ye ishq-o-wahshat ki bimari ka
jism diya hai tu ne mujh ko ek nira sansari ka
ya-rab teri izzat rakhne ko hum ab tak zinda hain
warna hum ko shauq nahin hai kori duniya-dari ka
ye bhi to ho sakta hai ek lambi nind mein hon hum tum
maut jise kahte hain shayad aalam ho bedari ka
sare apne apne man ki shakl bata kar laDte hain
tu hi bata ab kya matlab hai aisi parda-dari ka
jaise tu ne log banae logon ko insan bana
tab ja kar hum loha manenge teri fankari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.