dil mein chamke hue hain dagh bahut
dil meñ chamke hue haiñ daaġh bahut
raushan is ghar meñ haiñ charāġh bahut
maiñ na ro.uuñ to kyā karūñ saaqī
bhar ke detā nahīñ ayāġh bahut
shab ko va.ada hai un ke aane kā
kyoñ na raushan karūñ charāġh bahut
dil-e-vīrāñ ko dekh kar bole
gaañv hote haiñ be-charāġh bahut
ġhair ko sar chaḌhā.eñ vo tauba
sadqe kar Daale aise zan bahut
dil-e-pur-dāġh hī kī sair karo
hai tumhāre liye ye baaġh bahut
mujh se milte haiñ jab ye kahte haiñ
aap ko ho gayā dimāġh bahut
ġham se paa.ī najāt marqad meñ
mar ke hāsil huā farāġh bahut
naqsh-e-pā tak milā na un kā kahīñ
chhān maarā hai koh-o-rāġh bahut
kuchh to farmā.iye janāb-e-‘ranj’
aaj haiñ aap baaġh baaġh bahut
dil mein chamke hue hain dagh bahut
raushan is ghar mein hain charagh bahut
main na roun to kya karun saqi
bhar ke deta nahin ayagh bahut
shab ko wada hai un ke aane ka
kyon na raushan karun charagh bahut
dil-e-viran ko dekh kar bole
ganw hote hain be-charagh bahut
ghair ko sar chaDhaen wo tauba
sadqe kar Dale aise zan bahut
dil-e-pur-dagh hi ki sair karo
hai tumhaare liye ye bagh bahut
mujh se milte hain jab ye kahte hain
aap ko ho gaya dimagh bahut
gham se pai najat marqad mein
mar ke hasil hua faragh bahut
naqsh-e-pa tak mila na un ka kahin
chhan mara hai koh-o-ragh bahut
kuchh to farmaiye janab-e-‘ranj’
aaj hain aap bagh bagh bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.