dil mein charagh-e-shauq jalane se faeda
dil mein charagh-e-shauq jalane se faeda
Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
MORE BYSyed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
dil meñ charāġh-e-shauq jalāne se fā.eda
dāman meñ apne aag lagāne se fā.eda
fikr-e-ma.āsh se hī nikalnā ho jab muhāl
dil meñ kisī kī yaad basāne se fā.eda
jo chashm-e-nam the un ko hañsāte to baat thī
rote hue ko aur rulāne se fā.eda
jab haal dil ke vāste nāsūr ban chukā
maazī kī yaad dil meñ jagāne se fā.eda
fasl-e-ḳhizāñ meñ ahd-e-bahārāñ kā jashn ḳhuub
vīrān bām-o-dar ko sajāne se fā.eda
dil meñ tumhārī yaad hī jab phuul ban ga.ī
ġhunche na.e kuchh aur khilāne se fā.eda
dekhā jo daaġh chāñd meñ aaya yahī ḳhayāl
is tarah dil ke daaġh dikhāne se fā.eda
maanā tasavvurāt meñ aa.e hue to ho
dil ko magar ye ḳhvāb dikhāne se fā.eda
dāman meñ apne ḳhaar haiñ maanā 'ziyā' magar
har-vaqt un kā sog manāne se fā.eda
dil mein charagh-e-shauq jalane se faeda
daman mein apne aag lagane se faeda
fikr-e-maash se hi nikalna ho jab muhaal
dil mein kisi ki yaad basane se faeda
jo chashm-e-nam the un ko hansate to baat thi
rote hue ko aur rulane se faeda
jab haal dil ke waste nasur ban chuka
mazi ki yaad dil mein jagane se faeda
fasl-e-KHizan mein ahd-e-bahaaran ka jashn KHub
viran baam-o-dar ko sajaane se faeda
dil mein tumhaari yaad hi jab phul ban gai
ghunche nae kuchh aur khilane se faeda
dekha jo dagh chand mein aaya yahi KHayal
is tarah dil ke dagh dikhane se faeda
mana tasawwuraat mein aae hue to ho
dil ko magar ye KHwab dikhane se faeda
daman mein apne KHar hain mana 'ziya' magar
har-waqt un ka sog manane se faeda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.