dil mein chhupa ke dil mein liye ja raha hun main
dil meñ chhupā ke dil meñ liye jā rahā huuñ maiñ
yuuñ husn se nibāh kiye jā rahā huuñ maiñ
phūloñ ke saath haiñ mujhe sab ḳhaar bhī 'azīz
kitnā hasīn saath diye jā rahā huuñ maiñ
barq-e-jamāl se huā kab koī faizyāb
ḳhud apne dil meñ ġhaur kiye jā rahā huuñ maiñ
rahmat hai ḳhud panāh ḳhudā-e-karīm kī
rahmat ko apne saath liye jā rahā huuñ maiñ
fard-e-amal siyāh na karnā gunāh se
zāhid tujhe ye pand kiye jā rahā huuñ maiñ
vaqt-e-shabāb ḳhuub hī 'bāsir' guzar gayā
ruḳhsat huī javānī ji.e jā rahā huuñ maiñ
dil mein chhupa ke dil mein liye ja raha hun main
yun husn se nibah kiye ja raha hun main
phulon ke sath hain mujhe sab KHar bhi 'aziz
kitna hasin sath diye ja raha hun main
barq-e-jamal se hua kab koi faizyab
KHud apne dil mein ghaur kiye ja raha hun main
rahmat hai KHud panah KHuda-e-karim ki
rahmat ko apne sath liye ja raha hun main
fard-e-amal siyah na karna gunah se
zahid tujhe ye pand kiye ja raha hun main
waqt-e-shabab KHub hi 'basir' guzar gaya
ruKHsat hui jawani jie ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.