dil mein gham ki kani nahin hoti
dil meñ ġham kī kanī nahīñ hotī
zindagī zindagī nahīñ hotī
sirf hoñToñ pe jo bikhar jaa.e
vo hañsī to hañsī nahīñ hotī
dil to rotā hai ḳhuun ke aañsū
aañkh meñ go namī nahīñ hotī
garche har dam vo paas rahte haiñ
hasratoñ meñ kamī nahīñ hotī
tere qadmoñ pe jis kā dam nikle
is se baḌh kar ḳhushī nahīñ hotī
tere uThte hī bazm-e-rindāñ se
duur tak raushnī nahīñ hotī
ik tahī-jām aur ik sarshār
yuuñ to sāqī-garī nahīñ hotī
dil-e-āshiq hai pur-bahār 'habīb'
yaañ ḳhizāñ hī kabhī nahīñ hotī
dil mein gham ki kani nahin hoti
zindagi zindagi nahin hoti
sirf honTon pe jo bikhar jae
wo hansi to hansi nahin hoti
dil to rota hai KHun ke aansu
aankh mein go nami nahin hoti
garche har dam wo pas rahte hain
hasraton mein kami nahin hoti
tere qadmon pe jis ka dam nikle
is se baDh kar KHushi nahin hoti
tere uThte hi bazm-e-rindan se
dur tak raushni nahin hoti
ek tahi-jam aur ek sarshaar
yun to saqi-gari nahin hoti
dil-e-ashiq hai pur-bahaar 'habib'
yan KHizan hi kabhi nahin hoti
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 116)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.