Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein hamare jhaT se sanam tum utar gae

Ahmad Masood Quraishi

dil mein hamare jhaT se sanam tum utar gae

Ahmad Masood Quraishi

MORE BYAhmad Masood Quraishi

    dil meñ hamāre jhaT se sanam tum utar ga.e

    shāḳhoñ pe dil patte bhī saare nikhar ga.e

    TuuTā thā apnā dil bhī sitamgar ke haath se

    patte shajar ke jaise havā meñ bikhar ga.e

    karte the pyaar dil se jo thāme vafā ke jaam

    jaane kidhar ke log vo ab to kidhar ga.e

    dete the saaya ThanDā musāfir ko ek dam

    jab se bane plāze vo sab shajar ga.e

    aa.ī hai piirī ab to javānī nahīñ rahī

    kitne zamāne apne bhī dilkash guzar ga.e

    dil mein hamare jhaT se sanam tum utar gae

    shaKHon pe dil ki patte bhi sare nikhar gae

    TuTa tha apna dil bhi sitamgar ke hath se

    patte shajar ke jaise hawa mein bikhar gae

    karte the pyar dil se jo thame wafa ke jam

    jaane kidhar ke log wo ab to kidhar gae

    dete the saya ThanDa musafir ko ek dam

    jab se bane plaze wo sab hi shajar gae

    aai hai piri ab to jawani nahin rahi

    kitne zamane apne bhi dilkash guzar gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now