dil mein har-waqt KHayal-e-dar-e-jaanana hai
dil meñ har-vaqt ḳhayāl-e-dar-e-jānāna hai
ya.anī ka.abe ke muqaddar meñ sanam-ḳhāna hai
zauq-e-rangīñ mirā ā.īna-e-mai-ḳhāna hai
mai hai shabnam mirī aur gul mirā paimāna hai
hai vahī dil jo kisī sho.ale kā muhtāj nahīñ
apnī hī aag meñ jal jaa.e vo parvāna hai
dil meñ armānoñ ke sūkhe hue kuchh phuul sahī
koī ye to na kahegā ki ye vīrāna hai
ab ye aalam hai mirī tishna-labī kā saaqī
ashk āñkhoñ meñ haiñ aur haath meñ paimāna hai
vo kahīñ jalva-numā ho to qayāmat ho jaa.e
saarā aalam jise be-dekhe hī dīvāna hai
laġhzishoñ kā mirī ab to hai ye aalam ai 'shauq'
kāñpte hāthoñ meñ TuuTā huā paimāna hai
dil mein har-waqt KHayal-e-dar-e-jaanana hai
yani kabe ke muqaddar mein sanam-KHana hai
zauq-e-rangin mera aaina-e-mai-KHana hai
mai hai shabnam meri aur gul mera paimana hai
hai wahi dil jo kisi shoale ka muhtaj nahin
apni hi aag mein jal jae wo parwana hai
dil mein armanon ke sukhe hue kuchh phul sahi
koi ye to na kahega ki ye virana hai
ab ye aalam hai meri tishna-labi ka saqi
ashk aankhon mein hain aur hath mein paimana hai
wo kahin jalwa-numa ho to qayamat ho jae
sara aalam jise be-dekhe hi diwana hai
laghzishon ka meri ab to hai ye aalam ai 'shauq'
kanpte hathon mein TuTa hua paimana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.