dil mein ho dard-e-ishq labon par fughan na ho
dil meñ ho dard-e-ishq laboñ par fuġhāñ na ho
mumkin nahīñ ki aag lage aur dhuāñ na ho
ġhairat ye chāhtī hai ki is raah par chalo
jis raah meñ kisī ke qadam kā nishāñ na ho
manzil kī justujū hai to ai rahravān-e-ishq
tanhā-ravī ho pairavī-e-kārvāñ na ho
ham gardish-e-falak se kahāñ bach ke jā.eñge
vo kaun sī zamīñ hai jahāñ āsmāñ na ho
tere sitam kī ḳhair bas itnā rahe ḳhayāl
vo ġham na baḳhshnā jo ġham-e-jāvedāñ na ho
hifz-e-ḳhudī kī baat hai āñkheñ jo nam nahīñ
aisā nahīñ ki mujh ko ġham-e-āshiyāñ na ho
iz.hār-e-haq pe kis liye ḳhāmosh ho ga.e
'raunaq' zabān rakhte hue be-zabāñ na ho
dil mein ho dard-e-ishq labon par fughan na ho
mumkin nahin ki aag lage aur dhuan na ho
ghairat ye chahti hai ki is rah par chalo
jis rah mein kisi ke qadam ka nishan na ho
manzil ki justuju hai to ai rahrawan-e-ishq
tanha-rawi ho pairawi-e-karwan na ho
hum gardish-e-falak se kahan bach ke jaenge
wo kaun si zamin hai jahan aasman na ho
tere sitam ki KHair bas itna rahe KHayal
wo gham na baKHshna jo gham-e-jawedan na ho
hifz-e-KHudi ki baat hai aankhen jo nam nahin
aisa nahin ki mujh ko gham-e-ashiyan na ho
izhaar-e-haq pe kis liye KHamosh ho gae
'raunaq' zaban rakhte hue be-zaban na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.