dil mein ek shor uThate hain chale jate hain
dil mein ek shor uThate hain chale jate hain
Hidayatullah Khan Shamsi
MORE BYHidayatullah Khan Shamsi
dil meñ ik shor uThāte haiñ chale jaate haiñ
aap jazbāt jagāte haiñ chale jaate haiñ
roz jaltā hai sar-e-shām umīdoñ kā charāġh
dāman-e-lail bujhāte haiñ chale jaate haiñ
vaqt-e-ruḳhsat to qayāmat kā samāñ hotā hai
ġham ko siine se lagāte haiñ chale jaate haiñ
ham to phirte haiñ mohabbat kā ḳhazāna le kar
raah nafrat meñ luTāte haiñ chale jaate haiñ
chand lamhoñ kī rifāqat meñ ka.ī ḳhvāb hasīñ
lāla-o-gul ko dikhāte haiñ chale jaate haiñ
ḳhushk hoñToñ ko mire jhūTā tabassum de kar
phir se āñkhoñ ko rulāte haiñ chale jaate haiñ
kaun kartā hai adā haqq-e-marāsim 'shamsī'
log bas rasm nibhāte haiñ chale jaate haiñ
dil mein ek shor uThate hain chale jate hain
aap jazbaat jagate hain chale jate hain
roz jalta hai sar-e-sham umidon ka charagh
daman-e-lail bujhate hain chale jate hain
waqt-e-ruKHsat to qayamat ka saman hota hai
gham ko sine se lagate hain chale jate hain
hum to phirte hain mohabbat ka KHazana le kar
rah nafrat mein luTate hain chale jate hain
chand lamhon ki rifaqat mein kai KHwab hasin
lala-o-gul ko dikhate hain chale jate hain
KHushk honTon ko mere jhuTa tabassum de kar
phir se aankhon ko rulate hain chale jate hain
kaun karta hai ada haqq-e-marasim 'shamsi'
log bas rasm nibhate hain chale jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.