dil mein jagi hui yaadon ko sulae na bane
dil mein jagi hui yaadon ko sulae na bane
Maqsood Ahmad Maqsood
MORE BYMaqsood Ahmad Maqsood
Interesting Fact
نذر غالبؔ
dil meñ jaagī huī yādoñ ko sulā.e na bane
niiñd se aañkh ke goshoñ ko sajā.e na bane
jāñ-gusil haiñ tire e'rāz ke nashtar phir bhī
chhoḌ kar dar tirā mujh se kahīñ jaa.e na bane
dil hai nākām umīdoñ kā laq-o-daq sahrā
aas kā phuul koī is meñ khilā.e na bane
aah jis ġham ne kiyā jeb-e-shakebā.ī chaak
dāman-e-dil meñ bhī us ġham ko chhupā.e na bane
nā-tavānī kā ye aalam hai ki ai jān-e-hayāt
bojh sāñsoñ kā bhī ab mujh se uThā.e na bane
mujh se to aap ke dīdār ke zamzam ke sivā
chaah kī pyaas kisī taur bujhā.e na bane
dostoñ se jo milā kartī hai mujh ko sauġhāt
us ke bhī zaḳhm zamāne ko dikhā.e na bane
maiñ ne jis peḌ ko sīñchā thā lahū se 'maqsūd'
us ke saa.e mire armān ke saa.e na bane
dil mein jagi hui yaadon ko sulae na bane
nind se aankh ke goshon ko sajae na bane
jaan-gusil hain tere e'raaz ke nashtar phir bhi
chhoD kar dar tera mujh se kahin jae na bane
dil hai nakaam umidon ka laq-o-daq sahra
aas ka phul koi is mein khilae na bane
aah jis gham ne kiya jeb-e-shakebai chaak
daman-e-dil mein bhi us gham ko chhupae na bane
na-tawani ka ye aalam hai ki ai jaan-e-hayat
bojh sanson ka bhi ab mujh se uThae na bane
mujh se to aap ke didar ke zamzam ke siwa
chah ki pyas kisi taur bujhae na bane
doston se jo mila karti hai mujh ko saughat
us ke bhi zaKHm zamane ko dikhae na bane
main ne jis peD ko sincha tha lahu se 'maqsud'
us ke sae mere arman ke sae na bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.