dil mein jab be-KHudi si rahti hai
dil meñ jab be-ḳhudī sī rahtī hai
har taraf tīrgī sī rahtī hai
aañkh meñ ik namī sī rahtī hai
kyoñ adhūrī ḳhushī sī rahtī hai
mutma.in huuñ magar na jaane kyoñ
ziist meñ kuchh kamī sī rahtī hai
mauj-e-dariyā kī in sadāoñ meñ
kis qadar tishnagī sī rahtī hai
jab tasavvur meñ koī aatā hai
der tak raushnī sī rahtī hai
dekhnā us mahal kī khiḌkī meñ
ek laḌkī khaḌī sī rahtī hai
dekh kar us ko dil kī dil jaane
'aql bhī sochtī sī rahtī hai
tum na aaoge jāntī huuñ magar
aas dil meñ lagī sī rahtī hai
dekh kar nafratoñ kī duniyā ko
ye azal ab Darī sī rahtī hai
dil mein jab be-KHudi si rahti hai
har taraf tirgi si rahti hai
aankh mein ek nami si rahti hai
kyon adhuri KHushi si rahti hai
mutmain hun magar na jaane kyon
zist mein kuchh kami si rahti hai
mauj-e-dariya ki in sadaon mein
kis qadar tishnagi si rahti hai
jab tasawwur mein koi aata hai
der tak raushni si rahti hai
dekhna us mahal ki khiDki mein
ek laDki khaDi si rahti hai
dekh kar us ko dil ki dil jaane
'aql bhi sochti si rahti hai
tum na aaoge jaanti hun magar
aas dil mein lagi si rahti hai
dekh kar nafraton ki duniya ko
ye azal ab Dari si rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.