dil mein jagah dun tumko apne pahle se hain mehman bahut
dil meñ jagah duuñ tum ko apne pahle se haiñ mehmān bahut
tum dekho koī aur Thikāna ho jāoge pareshān bahut
us ko bhulāne kī koshish maiñ jitnī kartā huuñ yaaro
us kī yaad ke siine meñ mire chubhte haiñ paikān bahut
kaun jiye ab jaañ ko jalā kar rahne do mar jaate haiñ
ishq meñ mar jaanā hī ham ko lagtā hai āsān bahut
us se milā to dekhā maiñ ne thā ḳhud se begāna vo
us se milne kā thā mujh ko jaane kyoñ armān bahut
tere dil ko apnī yādoñ se rakkhā ābād magar
kar baiThe ham apne dil ko ḳhud hī ab vīrān bahut
kāġhaz ke phūloñ se apne ghar ko mahkānā chāhā
is ḳhvāhish meñ maiñ ne badle roz na.e gul-dān bahut
naaz thā mujh ko apne dil par rusvā na hone degā ye
yuuñ sarkā pahlū se mere rakkhā dil kā dhyān bahut
ab to tumheñ ham bhuul ga.e haiñ kyoñ aatī ho yaad hameñ
yaad kiyā karte the tum ko jab ham the pareshān bahut
tum ḳhushiyoñ meñ Duube hue the ġham kī sadā.eñ kyoñ sunte
tum ko pukārā dard meñ apne jab ham the be-jān bahut
ab dekho 'irshād' yahī sachchā.ī hai dil vāloñ kī
ishq jo dil se karte haiñ vo rahte haiñ pareshān bahut
dil mein jagah dun tum ko apne pahle se hain mehman bahut
tum dekho koi aur Thikana ho jaoge pareshan bahut
us ko bhulane ki koshish main jitni karta hun yaro
us ki yaad ke sine mein mere chubhte hain paikan bahut
kaun jiye ab jaan ko jala kar rahne do mar jate hain
ishq mein mar jaana hi hum ko lagta hai aasan bahut
us se mila to dekha main ne tha KHud se begana wo
us se milne ka tha mujh ko jaane kyon arman bahut
tere dil ko apni yaadon se rakkha aabaad magar
kar baiThe hum apne dil ko KHud hi ab viran bahut
kaghaz ke phulon se apne ghar ko mahkana chaha
is KHwahish mein main ne badle roz nae gul-dan bahut
naz tha mujh ko apne dil par ruswa na hone dega ye
yun sarka pahlu se mere rakkha dil ka dhyan bahut
ab to tumhein hum bhul gae hain kyon aati ho yaad hamein
yaad kiya karte the tum ko jab hum the pareshan bahut
tum KHushiyon mein Dube hue the gham ki sadaen kyon sunte
tum ko pukara dard mein apne jab hum the be-jaan bahut
ab dekho 'irshad' yahi sachchai hai dil walon ki
ishq jo dil se karte hain wo rahte hain pareshan bahut
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 102)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.