dil mein jhanka to bahut zaKHm purane nikle
dil meñ jhāñkā to bahut zaḳhm purāne nikle
ik fasāne se ka.ī aur fasāne nikle
ḳhvāb to ḳhvāb the āñkhoñ meñ kahāñ ruk jaate
vo dabe paañv unheñ bhī to churāne nikle
dekhnā ye hai Thahartā hai kahāñ josh-e-junūñ
sar-phire shahr-e-nigārāñ ko jalāne nikle
apne ghar sañg-e-malāmat kī huī hai bārish
be-gunāhī kī sanad ham jo dikhāne nikle
kārobār-e-rasan-o-dār kī tash.hīr huī
sarfaroshī ke yahāñ kitne bahāne nikle
jin kitāboñ pe salīqe se jamī vaqt kī gard
un kitāboñ hī meñ yādoñ ke ḳhazāne nikle
vo sitam-kesh bahar-hāl sitam-kesh rahe
dard soyā bhī nahīñ thā ki jagāne nikle
har taraf shahr meñ vīrānī kā 'ālam hai 'razā'
zindagī kaun kahāñ tujh ko sajāne nikle
dil mein jhanka to bahut zaKHm purane nikle
ek fasane se kai aur fasane nikle
KHwab to KHwab the aankhon mein kahan ruk jate
wo dabe panw unhen bhi to churane nikle
dekhna ye hai Thaharta hai kahan josh-e-junun
sar-phire shahr-e-nigaran ko jalane nikle
apne ghar sang-e-malamat ki hui hai barish
be-gunahi ki sanad hum jo dikhane nikle
karobar-e-rasan-o-dar ki tashhir hui
sarfaroshi ke yahan kitne bahane nikle
jin kitabon pe saliqe se jami waqt ki gard
un kitabon hi mein yaadon ke KHazane nikle
wo sitam-kesh bahar-haal sitam-kesh rahe
dard soya bhi nahin tha ki jagane nikle
har taraf shahr mein virani ka 'alam hai 'raza'
zindagi kaun kahan tujh ko sajaane nikle
- Book : Yadon Ki Khushboo (Pg. 32)
- Author : Raza Amrohvi
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.