dil mein jo basai thi wo taswir nahin hai
dil mein jo basai thi wo taswir nahin hai
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
dil meñ jo basā.ī thī vo tasvīr nahīñ hai
ye husn mire ḳhvāboñ kī ta.abīr nahīñ hai
suntā hī nahīñ vo mirī kyā mujh se ḳhafā hai
yā merī duā meñ abhī tāsīr nahīñ hai
mahfil meñ ka.ī husn ke paikar to haiñ lekin
koī bhī mire vāste dil-gīr nahīñ hai
khilne ko to khilte haiñ ka.ī phuul chaman meñ
har phuul kī haañ ek sī taqdīr nahīñ hai
mahfūz rahe gardish-e-daurāñ se hamesha
duniyā meñ koī aisī bhī ta.amīr nahīñ hai
is dil pe kare kaun 'majīd' aa ke hukūmat
dil kī hai ye duniyā koī jāgīr nahīñ hai
dil mein jo basai thi wo taswir nahin hai
ye husn mere KHwabon ki tabir nahin hai
sunta hi nahin wo meri kya mujh se KHafa hai
ya meri dua mein abhi tasir nahin hai
mahfil mein kai husn ke paikar to hain lekin
koi bhi mere waste dil-gir nahin hai
khilne ko to khilte hain kai phul chaman mein
har phul ki han ek si taqdir nahin hai
mahfuz rahe gardish-e-dauran se hamesha
duniya mein koi aisi bhi tamir nahin hai
is dil pe kare kaun 'majid' aa ke hukumat
dil ki hai ye duniya koi jagir nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.