dil mein jo kuchh hai abhi uski pazirai nahin
dil meñ jo kuchh hai abhī us kī pazīrā.ī nahīñ
maiñ ki ḳhushbū huuñ pa khulne kī ghaḌī aa.ī nahīñ
an-kahī baat ke sau ruup kahī baat kā ek
kabhī sun vo bhī jo minnat-kash-e-goyā.ī nahīñ
merī nazroñ meñ hai khilte hue phūloñ kī tarah
vo namī jo abhī shāḳhoñ meñ bhī lahrā.ī nahīñ
kyā manāzir the ki jo dekhtī āñkhoñ dekhe
ḳhvāb buntā huuñ ki āsūda-e-bīnā.ī nahīñ
sabhī daanā sabhī sar Daal ke chup baiTh rahe
ki yahāñ koī bhī shā.ista-e-rusvā.ī nahīñ
dil bujhā ho to gul-e-naġhma bhī nashtar hai 'ziyā'
shiddat-e-ġham kā ilaaj anjuman-ārā.ī nahīñ
dil mein jo kuchh hai abhi us ki pazirai nahin
main ki KHushbu hun pa khulne ki ghaDi aai nahin
an-kahi baat ke sau rup kahi baat ka ek
kabhi sun wo bhi jo minnat-kash-e-goyai nahin
meri nazron mein hai khilte hue phulon ki tarah
wo nami jo abhi shaKHon mein bhi lahrai nahin
kya manazir the ki jo dekhti aankhon dekhe
KHwab bunta hun ki aasuda-e-binai nahin
sabhi dana sabhi sar Dal ke chup baiTh rahe
ki yahan koi bhi shaista-e-ruswai nahin
dil bujha ho to gul-e-naghma bhi nashtar hai 'ziya'
shiddat-e-gham ka ilaj anjuman-arai nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.