dil mein jo machalti hai sada aur hi kuchh hai
dil meñ jo machaltī hai sadā aur hī kuchh hai
hoñToñ ko jo chhūtī hai du'ā aur hī kuchh hai
ummīd hai kuchh aur 'atā aur hī kuchh hai
lagtā hai ki manzūr-e-ḳhudā aur hī kuchh hai
pahle sī ab is dil se sadā.eñ nahīñ ātīñ
ab aah nikalne kī adā aur hī kuchh hai
is baar charāġhoñ kī havāoñ se nibhegī
is baar havāoñ kī razā aur hī kuchh hai
ḳhushbū jo huī gul se judā us pe khulā ye
har samt bikharne kā maza aur hī kuchh hai
aġhyār kā har tarz-e-sitam ḳhuub hai lekin
ahbāb kā andāz-e-jafā aur hī kuchh hai
tum ko ye hasīñ phuul hasīñ ḳhvāb mubārak
ham ko to mohabbat ne diyā aur hī kuchh hai
yuuñ hai ki tabassum ne rakhī laaj hai sab kī
varna to har ik dil meñ chhupā aur hī kuchh hai
dil mein jo machalti hai sada aur hi kuchh hai
honTon ko jo chhuti hai du'a aur hi kuchh hai
ummid hai kuchh aur 'ata aur hi kuchh hai
lagta hai ki manzur-e-KHuda aur hi kuchh hai
pahle si ab is dil se sadaen nahin aatin
ab aah nikalne ki ada aur hi kuchh hai
is bar charaghon ki hawaon se nibhegi
is bar hawaon ki raza aur hi kuchh hai
KHushbu jo hui gul se juda us pe khula ye
har samt bikharne ka maza aur hi kuchh hai
aghyar ka har tarz-e-sitam KHub hai lekin
ahbab ka andaz-e-jafa aur hi kuchh hai
tum ko ye hasin phul hasin KHwab mubarak
hum ko to mohabbat ne diya aur hi kuchh hai
yun hai ki tabassum ne rakhi laj hai sab ki
warna to har ek dil mein chhupa aur hi kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.