dil mein jo ranj-o-alam dard-e-nihan milte hain
dil meñ jo ranj-o-alam dard-e-nihāñ milte haiñ
shab kī tanhā.ī meñ aksar vo 'ayāñ milte haiñ
Tuut ke palkoñ se dāman meñ samā jaate haiñ
ab bhī kuchh ḳhvāb tah-e-ashk-e-ravāñ milte haiñ
apne dāman ke maiñ kāñToñ ko liye jā.ūñ kahāñ
sirf phūloñ ke ḳharīdār yahāñ milte haiñ
is se sābit hai ki is raah se guzre haiñ bahut
kūcha-e-dil meñ jo qadmoñ ke nishāñ milte haiñ
dafn ho jaate haiñ maazī kī zamīnoñ meñ zarūr
par vo ahbāb sadā zer-e-zabāñ milte haiñ
is jahāñ se pare ik aur jahāñ hai ai dost
jo nahīñ milte yahāñ log vahāñ milte haiñ
ham yaqīñ kis pe kareñ kis ko haqīqat māneñ
had-e-imkāñ se pare vahm-o-gumāñ milte haiñ
sidq-o-iḳhlās vafā mehr-o-mohabbat 'usmān'
is zamāne meñ ye asbāb kahāñ milte haiñ
dil mein jo ranj-o-alam dard-e-nihan milte hain
shab ki tanhai mein aksar wo 'ayan milte hain
Tut ke palkon se daman mein sama jate hain
ab bhi kuchh KHwab tah-e-ashk-e-rawan milte hain
apne daman ke main kanTon ko liye jaun kahan
sirf phulon ke KHaridar yahan milte hain
is se sabit hai ki is rah se guzre hain bahut
kucha-e-dil mein jo qadmon ke nishan milte hain
dafn ho jate hain mazi ki zaminon mein zarur
par wo ahbab sada zer-e-zaban milte hain
is jahan se pare ek aur jahan hai ai dost
jo nahin milte yahan log wahan milte hain
hum yaqin kis pe karen kis ko haqiqat manen
had-e-imkan se pare wahm-o-guman milte hain
sidq-o-iKHlas wafa mehr-o-mohabbat 'usman'
is zamane mein ye asbab kahan milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.