dil mein KHushbu si utar jati hai sine mein nur sa Dhal jata hai
dil mein KHushbu si utar jati hai sine mein nur sa Dhal jata hai
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
dil meñ ḳhushbū sī utar jaatī hai siine meñ nuur sā Dhal jaatā hai
ḳhvāb ik dekh rahā hotā huuñ phir ye manzar bhī badal jaatā hai
chāhtā huuñ ki maiñ uTh kar dekhūñ chhat se ākāsh kā manzar dekhūñ
abhī chhat tak hī pahuñchtī hai aañkh paañv ziine se phisal jaatā hai
ḳhvāb kī gum-shuda ta.abīr huuñ maiñ ik ajab zabt kī tasvīr huuñ maiñ
phir bhī in barf sī āñkhoñ meñ kabhī koī ġham hai ki pighal jaatā hai
ik dhuāñ jo na bikharne de mujhe ḳhaak meñ bhī na utarne de mujhe
jab siyāhī kī taraf baḌhtā huuñ ik diyā sā kahīñ jal jaatā hai
raah chaltā huuñ irādoñ ke saath shauq ke saath murādoñ ke saath
paañv hote haiñ qarīb-e-manzil vaqt hāthoñ se nikal jaatā hai
dil mein KHushbu si utar jati hai sine mein nur sa Dhal jata hai
KHwab ek dekh raha hota hun phir ye manzar bhi badal jata hai
chahta hun ki main uTh kar dekhun chhat se aakash ka manzar dekhun
abhi chhat tak hi pahunchti hai aankh panw zine se phisal jata hai
KHwab ki gum-shuda tabir hun main ek ajab zabt ki taswir hun main
phir bhi in barf si aankhon mein kabhi koi gham hai ki pighal jata hai
ek dhuan jo na bikharne de mujhe KHak mein bhi na utarne de mujhe
jab siyahi ki taraf baDhta hun ek diya sa kahin jal jata hai
rah chalta hun iradon ke sath shauq ke sath muradon ke sath
panw hote hain qarib-e-manzil waqt hathon se nikal jata hai
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 165)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.