dil mein KHun aur aankh mein pani bahut
dil meñ ḳhuuñ aur aañkh meñ paanī bahut
ek thoḌī sī pareshānī bahut
chup raheñ to dil sarāpā iztirāb
baat karne meñ pashemānī bahut
dekhe-bhāle rāste ġham ke tamām
dil kī galiyāñ jānī-pahchānī bahut
us ke jaise hoñge lekin vo kahāñ
naqsh-e-avval ek aur saanī bahut
ham kahāñ hote the ḳhud ko dastiyāb
khal rahī hai ab ye arzānī bahut
kis tarah rakhte ham āḳhir jaañ aziiz
dil kiyā kartā thā man-mānī bahut
us se kyā be-qadr-dānī kā gilā
ham ne qadr apnī kahāñ jaanī bahut
ḳhud use 'shabnam' banāte haiñ muhāl
dekhte haiñ jis meñ āsānī bahut
dil mein KHun aur aankh mein pani bahut
ek thoDi si pareshani bahut
chup rahen to dil sarapa iztirab
baat karne mein pashemani bahut
dekhe-bhaale raste gham ke tamam
dil ki galiyan jaani-pahchani bahut
us ke jaise honge lekin wo kahan
naqsh-e-awwal ek aur sani bahut
hum kahan hote the KHud ko dastiyab
khal rahi hai ab ye arzani bahut
kis tarah rakhte hum aaKHir jaan aziz
dil kiya karta tha man-mani bahut
us se kya be-qadr-dani ka gila
hum ne qadr apni kahan jaani bahut
KHud use 'shabnam' banate hain muhaal
dekhte hain jis mein aasani bahut
- Book : Musaafat Raigaan Thi (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.