dil mein KHwahish dabi dabi kya hai
dil meñ ḳhvāhish dabī dabī kyā hai
baat lab par rukī rukī kyā hai
terā shahkār aarzī kyoñ hai
maut kyā shai hai zindagī kyā hai
aap kā lutf-o-karam bhī ham par
aur vo bhī kabhī kabhī kyā hai
āzmānā ho aazmā liije
haath kangan ko aarsī kyā hai
ġham ke māroñ se chheḌ achchhī nahīñ
dil-jaloñ se ye dil-lagī kyā hai
kuchh ta.alluq zarūr hai varna
kuchh nahīñ hai to barhamī kyā hai
chaar din bhī sukūñ se jī na sake
ziist dobāra dā.imī kyā hai
apnā duniyā kā kā.enāt kā ġham
ik ajūba hai aadmī kyā hai
jām-o-sahbā agar na hoñ 'sālik'
phir yahāñ lutf-e-zindagī kyā hai
dil mein KHwahish dabi dabi kya hai
baat lab par ruki ruki kya hai
tera shahkar aarzi kyon hai
maut kya shai hai zindagi kya hai
aap ka lutf-o-karam bhi hum par
aur wo bhi kabhi kabhi kya hai
aazmana ho aazma lije
hath kangan ko aarsi kya hai
gham ke maron se chheD achchhi nahin
dil-jalon se ye dil-lagi kya hai
kuchh talluq zarur hai warna
kuchh nahin hai to barhami kya hai
chaar din bhi sukun se ji na sake
zist dobara daimi kya hai
apna duniya ka kaenat ka gham
ek ajuba hai aadmi kya hai
jam-o-sahba agar na hon 'salik'
phir yahan lutf-e-zindagi kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.