dil mein kisi ki yaad hai kaif-e-shabab ki tarah
dil meñ kisī kī yaad hai kaif-e-shabāb kī tarah
ḳhuun ragoñ meñ hai ravāñ mauj-e-sharāb kī tarah
go haiñ mizāj muḳhtalif go haiñ shi'ār muḳhtalif
ek haiñ phir bhī husn-o-'ishq barq-o-sahāb kī tarah
tere karam kā silsila ḳhizr kī 'umr se darāz
merī hayāt-e-muḳhtasar naqsh-e-bar-āb kī tarah
hasrat-e-dīd kī ḳhalish kam nahīñ lutf-e-dīd se
yād-e-shabāb hai hasīñ 'ahd-e-shabāb kī tarah
terī bahār-e-husn par husn-e-bahār bhī nisār
jhuum rahī hai har nazar shāḳh-e-gulāb kī tarah
dekhiye to kuchh aur hai sochiye to kuchh aur hai
jalva-e-kā.enāt hai mauj-e-sarāb kī tarah
farq hai ik nigāh kā vahm hai ik ḳhayāl kā
'ishq-o-havas meñ varna ek 'aib-o-savāb kī tarah
zarb-e-ġham-e-hayāt se shīsha-e-qalb TuuT kar
juḌ na sakegā phir kabhī jām-e-sharāb kī tarah
shām-e-firāq-e-dost bhī kam nahīñ roz-e-hashr se
dil se qarār uḌ gayā aañkh se ḳhvāb kī tarah
dil mein kisi ki yaad hai kaif-e-shabab ki tarah
KHun ragon mein hai rawan mauj-e-sharab ki tarah
go hain mizaj muKHtalif go hain shi'ar muKHtalif
ek hain phir bhi husn-o-'ishq barq-o-sahab ki tarah
tere karam ka silsila KHizr ki 'umr se daraaz
meri hayat-e-muKHtasar naqsh-e-bar-ab ki tarah
hasrat-e-did ki KHalish kam nahin lutf-e-did se
yaad-e-shabab hai hasin 'ahd-e-shabab ki tarah
teri bahaar-e-husn par husn-e-bahaar bhi nisar
jhum rahi hai har nazar shaKH-e-gulab ki tarah
dekhiye to kuchh aur hai sochiye to kuchh aur hai
jalwa-e-kaenat hai mauj-e-sarab ki tarah
farq hai ek nigah ka wahm hai ek KHayal ka
'ishq-o-hawas mein warna ek 'aib-o-sawab ki tarah
zarb-e-gham-e-hayat se shisha-e-qalb TuT kar
juD na sakega phir kabhi jam-e-sharab ki tarah
sham-e-firaq-e-dost bhi kam nahin roz-e-hashr se
dil se qarar uD gaya aankh se KHwab ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.