dil mein koi bhanwar koi tufan bhi nahin
dil meñ koī bhañvar koī tūfān bhī nahīñ
tujh se bichhaḌ ke ab koī armān bhī nahīñ
darvāza ghar kā band karo aur so raho
aane kā us ke ab koī imkān bhī nahīñ
sach bolne ke jurm kī tanhā.ī hai sazā
har shaḳhs varna shahr meñ anjān bhī nahīñ
milte haiñ ham se nit-na.e chehre badal ke log
ham ye tamāshā dekh ke hairān bhī nahīñ
kal raat mahv-e-fikr-o-suḳhan thā kuchh is tarah
kab aañkh lag ga.ī ye mujhe dhyān bhī nahīñ
hālāt ne kiye haiñ 'jahāñgīr' vo sitam
apne laboñ pe ab koī muskān bhī nahīñ
dil mein koi bhanwar koi tufan bhi nahin
tujh se bichhaD ke ab koi arman bhi nahin
darwaza ghar ka band karo aur so raho
aane ka us ke ab koi imkan bhi nahin
sach bolne ke jurm ki tanhai hai saza
har shaKHs warna shahr mein anjaan bhi nahin
milte hain hum se nit-nae chehre badal ke log
hum ye tamasha dekh ke hairan bhi nahin
kal raat mahw-e-fikr-o-suKHan tha kuchh is tarah
kab aankh lag gai ye mujhe dhyan bhi nahin
haalat ne kiye hain 'jahangir' wo sitam
apne labon pe ab koi muskan bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.