dil mein kuchh hai bayan mein kuchh hai
dil meñ kuchh hai bayān meñ kuchh hai
aap kī dāstān meñ kuchh hai
mere vahm-o-gumān se baḌh kar
un ke tīr-o-kamān meñ kuchh hai
paañv rakhiye sambhal ke bastī meñ
ghar meñ kuchh sā.ebān meñ kuchh hai
pairv-e-maz.hab-e-mohabbat huuñ
dekhtā kuchh huuñ dhyān meñ kuchh hai
jab diloñ meñ rahe na gunjā.ish
maañ na samjhe makān meñ kuchh hai
ruḳh havā kā na dekhiye 'anjum'
dekhiye bādbān meñ kuchh hai
dil mein kuchh hai bayan mein kuchh hai
aap ki dastan mein kuchh hai
mere wahm-o-guman se baDh kar
un ke tir-o-kaman mein kuchh hai
panw rakhiye sambhal ke basti mein
ghar mein kuchh saeban mein kuchh hai
pairw-e-mazhab-e-mohabbat hun
dekhta kuchh hun dhyan mein kuchh hai
jab dilon mein rahe na gunjaish
man na samjhe makan mein kuchh hai
ruKH hawa ka na dekhiye 'anjum'
dekhiye baadban mein kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.