dil mein mere KHayal-e-ruKH-e-mah-jabin raha
dil mein mere KHayal-e-ruKH-e-mah-jabin raha
Munshi Mohammad Hayat Khan Mazhar
MORE BYMunshi Mohammad Hayat Khan Mazhar
dil meñ mire ḳhayāl-e-ruḳh-e-mah-jabīñ rahā
saaya parī kā shīshe meñ sūrat-guzīñ rahā
allah re mere baḳht kī shūmī ki vasl meñ
parde hī meñ hijāb ke vo nāznīñ rahā
us but kī bandagī se na baaz aaya but-parast
kam-baḳht dil muḳhālif-e-shar.a-e-matīñ riyā
mahsūr-e-ġham huuñ nuqta-e-parkār kī tarah
maiñ markaz-e-mazālim-e-arbāb-e-kīñ rahā
ḳhūn-e-jigar se ziist kī ummīd thī magar
vo bhī ba-hukm-e-shar.a-e-mohabbat nahīñ rahā
hāsil huā na bahr-e-tasavvur meñ durr-e-vasl
har chand dil misāl-e-sadaf tah-nashīñ rahā
'maz.har' harīs-e-lazzat-e-ġham un ke ishq meñ
pāband tujh sā ai magas-e-angbīñ rahā
dil mein mere KHayal-e-ruKH-e-mah-jabin raha
saya pari ka shishe mein surat-guzin raha
allah re mere baKHt ki shumi ki wasl mein
parde hi mein hijab ke wo naznin raha
us but ki bandagi se na baz aaya but-parast
kam-baKHt dil muKHalif-e-shara-e-matin riya
mahsur-e-gham hun nuqta-e-parkar ki tarah
main markaz-e-mazalim-e-arbab-e-kin raha
KHun-e-jigar se zist ki ummid thi magar
wo bhi ba-hukm-e-shara-e-mohabbat nahin raha
hasil hua na bahr-e-tasawwur mein durr-e-wasl
har chand dil misal-e-sadaf tah-nashin raha
'mazhar' haris-e-lazzat-e-gham un ke ishq mein
paband tujh sa ai magas-e-angbin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.