dil mein murat si gaDh gain aankhen
dil meñ mūrat sī gaḌh ga.iiñ āñkheñ
aap kī mujh pe paḌ ga.iiñ āñkheñ
'aks jo zehn meñ thā dhuñdhlā sā
do nagīnoñ sī jaḌ ga.iiñ āñkheñ
maiñ ne dekhī nigāh jyuuñ terī
jhaT zamīñ meñ ye gaḌ ga.iiñ āñkheñ
aaj to din hasīn guzregā
sub.h jo tum se laḌ ga.iiñ āñkheñ
aag bhaḌkī jo un ke laḌne se
ḳhud bujhāne ko aḌ ga.iiñ āñkheñ
mere dil ke hasīn ḳhvāboñ ko
ik kahānī sā paḌh ga.iiñ āñkheñ
vaqt-e-āḳhir hai vo haiñ sir.hāne
ye 'nayā' maan chaḌh ga.iiñ āñkheñ
dil mein murat si gaDh gain aankhen
aap ki mujh pe paD gain aankhen
'aks jo zehn mein tha dhundhla sa
do naginon si jaD gain aankhen
main ne dekhi nigah jyun teri
jhaT zamin mein ye gaD gain aankhen
aaj to din hasin guzrega
subh jo tum se laD gain aankhen
aag bhaDki jo un ke laDne se
KHud bujhane ko aD gain aankhen
mere dil ke hasin KHwabon ko
ek kahani sa paDh gain aankhen
waqt-e-aKHir hai wo hain sirhane
ye 'naya' man chaDh gain aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.