dil mein paida hui bala ki KHalish
dil meñ paidā huī balā kī ḳhalish
uf tire nāvak-e-adā kī ḳhalish
kuchh dil-e-dard-āshnā kī ḳhalish
kuchh tire nāvak-e-jafā kī ḳhalish
donoñ bāteñ jo ho ga.iiñ bāham
dil meñ paidā huī balā kī ḳhalish
maut ne dil ko ik sukūñ baḳhshā
muddatoñ tak rahī davā kī ḳhalish
dil meñ nāsūr paḌ ga.e lākhoñ
aah ye āh-e-nā-rasā kī ḳhalish
ḳhanjar-o-tīr se sivā paa.ī
ishva-o-ġhamza-o-adā kī ḳhalish
zabt ko mere sabr ko mere
āzmāne lagī vafā kī ḳhalish
maraz-e-ishq ke marīzoñ ko
maar Dālegī ye shifā kī ḳhalish
na milegā kahīñ nishāñ apnā
gar yahī hai tirī jafā kī ḳhalish
dekheñ anjām ishq kā kyā ho
ibtidā meñ hai intihā kī ḳhalish
ho ga.ī dam ke baad ruḳhsat ziist
dekh saktī na thī qazā kī ḳhalish
rag-e-jāñ kaT ga.ī magar 'mas.ūd'
na ga.ī teġh-āzmā kī ḳhalish
dil mein paida hui bala ki KHalish
uf tere nawak-e-ada ki KHalish
kuchh dil-e-dard-ashna ki KHalish
kuchh tere nawak-e-jafa ki KHalish
donon baaten jo ho gain baham
dil mein paida hui bala ki KHalish
maut ne dil ko ek sukun baKHsha
muddaton tak rahi dawa ki KHalish
dil mein nasur paD gae lakhon
aah ye aah-e-na-rasa ki KHalish
KHanjar-o-tir se siwa pai
ishwa-o-ghamza-o-ada ki KHalish
zabt ko mere sabr ko mere
aazmane lagi wafa ki KHalish
maraz-e-ishq ke marizon ko
mar Dalegi ye shifa ki KHalish
na milega kahin nishan apna
gar yahi hai teri jafa ki KHalish
dekhen anjam ishq ka kya ho
ibtida mein hai intiha ki KHalish
ho gai dam ke baad ruKHsat zist
dekh sakti na thi qaza ki KHalish
rag-e-jaan kaT gai magar 'masud'
na gai tegh-azma ki KHalish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.