dil mein paiwast koi Dar hai miyan
dil meñ paivast koī Dar hai miyāñ
rāsta vaise be-ḳhatar hai miyāñ
kyoñ sadā de rahe ho sūraj ko
duur ham se abhī sahar hai miyāñ
zindagī kyā hai pūchhte kyoñ ho
chand lamhoñ kā ye safar hai miyāñ
darmiyāñ hai anā kī ik dīvār
fāsla varna muḳhtasar hai miyāñ
baat itnī sī hai ki duniyā meñ
aadmī ḳhud se be-ḳhabar hai miyāñ
tum haqīqat kī baat karte ho
ye to ḳhvāboñ kī rahguzar hai miyāñ
aa.e ho is taraf to saath chalo
do qadam par hamārā ghar hai miyāñ
haal kaise bayāñ karo 'ḳhālid'
zindagī apnī dar-ba-dar hai miyāñ
dil mein paiwast koi Dar hai miyan
rasta waise be-KHatar hai miyan
kyon sada de rahe ho suraj ko
dur hum se abhi sahar hai miyan
zindagi kya hai puchhte kyon ho
chand lamhon ka ye safar hai miyan
darmiyan hai ana ki ek diwar
fasla warna muKHtasar hai miyan
baat itni si hai ki duniya mein
aadmi KHud se be-KHabar hai miyan
tum haqiqat ki baat karte ho
ye to KHwabon ki rahguzar hai miyan
aae ho is taraf to sath chalo
do qadam par hamara ghar hai miyan
haal kaise bayan karo 'KHalid'
zindagi apni dar-ba-dar hai miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.